jalī jalī boo se uskee paida hai sauzash-e ‘ishq chashm wālā

by Seeker

jalī jalī boo se uskee paida hai sauzash-e ‘ishq chashm wālā,

kabāb âhū [aahoo] maiN bhī na paaya maza jo dil ke kabāb maiN hai

 

jalī jalī boo: kissee shay’e ke aag par jalne se jo boo paida ho

sauzash: jalun [inflammation, burning sensation, ardour]

chashm wālā: ‘azmat wālī ânkh

âhū: hiran [deer, antelope]

 

‘ishq-e Rasūl, firaq-aw-hijr Mustafa śallAllāhu álayhi wa sallam kee aag maiN dil ke jalne kee jo halqi halqi boo arahi hai yeh mere Âqa kee Mubārak ânkhauN ke ‘ishq kee sauzash se paida hotī hai aur is dil ke ‘ishq-e Rasūl śallAllāhu álayhi wa sallam maiN kabab hone maiN jo laz’zat [pleasure, joy, taste] hai bhala woh hiran ke kabābauN maiN kahāN ho saktī hai.