karay chāra sāzī ziyārat kisī kī

by Seeker

karay chāra sāzī ziyārat kisī kī,
bharay zakhm dil ke malāhat kisī kī

chamak kar yeh kehtī hai tal`at kisī kī,
ke dīdar-e haq hai ziyārat kisī kī

na rehtī jo pardoñ maiñ sūrat kisī kī,
na hotī kisī ko ziyārat kisī kī

`ajab pyārī pyārī hai sūrat kisī kī,
hameiñ kya Khuda ko hai ulfat kisī kī

abhī pār hooñ dhūbanay wālay bhayRay,
sahāra lagā de jo rehmat kisī kī

kisī ko kisī se huee hai na hogī,
Khuda ko hai jitnī muhabbat kisī kī

dam-e hashr `āasī mazay le rahay haiñ,
shafā`at kisī kī hai rehmat kisī kī

rahe dil kisī kī muhabbat maiñ har dum,
rahe dil maiñ har dum muhabbat kisī kī

Khuda ka diya hai teray paas sab kuch,
tere hote kyā hum ko hājat kisī kī

zamāna kī dawlat nahīñ paas phir bhī,
zamāna maiñ but’thī hai dawlat kisī kī

qamar ik ishāra maiñ do tukre dekha,
zamāna pe roshan hai tāqat kisī kī

hamayñ haiñ kisī kī shafā`at kī khātir,
hamārī hee khātir shafā`at kisī kī

musībat zado shād ho tum ke unsay,
nahīñ dekhī jātī musībat kisī kī

na puhanchay ge jab tak gunahgār unkay,
na jāyegī jannat maiñ ummat kisī kī

Khuda se du’a hai ke hungām-e rukhsat,
zabān-e hasan par ho midhat kisī kī